Saturday, March 14, 2009

YAAD


Raat k 2 baj rahe hai... Mai apne pump k rum me bed pe leta hua hu...aaj dhulendi hai...dil me ek yaad apne bibi bachho ki...mujhe yaad hai wo din...pichhle sal ka..us din b holi ki dhulendi thi...meri shadi k baad pehli holi...mai un yado me khoya huwa hu...kya khub holi khela tha mai apni bibi aur bachhe k sath...pure navoday k campus me holi chal rahi thi...school k bachhe masti k sath ek dusre k uper rang daal rahe the..hum pati patni b apne bachhe k sath holi khelne bahar nikal aaye...khub rang udaya..gulal ka to mano badal chha gaya tha campus me...mera beta Anshul kafi smart hai...usne auro ko rang lagane se pehle hum dono k charan sparsh kiye aur fir hum dono ko gulal lagaya...aur fir pata nhi us nanhe shaitan ko achanak kya sujha...hume kaha ki ab aap ek dusre ko gulal lagao...hehe...kya sharma gayi thi vinu us din jaise kal hi humari shadi hui ho...us din ki ek ek yaad dil me basi hai...aaj b holi hai...pr mai akela hu...apne parivar se sekdo miles dur...dil me ek tis si uth rahi hai...kyo mere sath aisa hua...? Kyo bhagwan ne ek hath se khushiya dekar dusre hath se chhin li...? Apni 2 mahino ki bachhi ko chhodke kyo yaha pada hu mai...akela...bilkul akela...dil ro raha hai...aansu palko k kinare pe aake ruke huye hai....jaise bahar nikalne ko betab...rona chahta hu...pr...pr...kisika kandha nhi hai mere pass rone k liye...kisi k hath nhi hai un aasuo ko puchne k liye jo betab hai bahar nikalne ko...akela...bilkul akela mehsus kar raha hu mai...rone ko bahut dil kr raha hai...bahut...pr....fir yaad aata hai...mard ko kabhi dard nhi hota...mard kabhi roya nhi karte...koun kehta hai mard ko dard nhi hota..? Koun kehta hai mard kabhi roya nhi karte...? Dekh lo mai ro raha hu...un lamho ko yaad krke jo pichhle saal maine apne family k sath gujare the...mai ro raha hu...apne bete ko yaad karke jo kabhi mere bagair khana nahi khata tha..mai ro raha hu apni beti ko yaad krke jise mai 15 din ki chhodke yaha aaya tha...mai ro raha hu...sachhi...mai ro raha hu.....

No comments:

Post a Comment